Namaskar mere dosto
This winter solstice is celebrated all over the country as Makar Sankranti during the winter season in Paus month when Lord Bhaskar enters Uttara Capricorn. Although Makar Sankranti is celebrated on January 14 every year, but due to some changes in the calculations from last few years, it is being celebrated on January 15 as well.
Makarsakranti kaise banaye
jaisa ki Aap jante hai ki main jai meena Aapke liye ek new post lekar Aaya hu, Sabse pahle to Aapko yah jan na jaruri hai ki makarsakranti kyu manayi jati hai. Makarsakranti ke din surya (son) Apni parikarma puri krte huye dhanu rashi se makar rashi me parvesh krta hai. lekin is din surya bhagwan 14, january ko shyam ko goduli-bela me jakar parvesh krta hai isliye makarsakranti 14, january ko chodkar 15, january ko banate hai.
Is din ko manane ke liye 3-4 din pahle se hi teyari krni padati hai uske liye Aapko makarsakranti ke din Apne village ke bahar khali jagah pr khule me ghumne wale animals ke ghass fhooss dalna padta hai to uske liye ghass ko pahle se hi rakhna pdega taki agli subh jaldi us ghass ko waha pr jakar dal sake. makar sakranti ke din chitiyo (Ants) ko khane ke liye ek vishes parkar ka mixer bnaya jata hai usme kale til, bajra, gehu, gud, nariyal, chana aur mugfali ka mix krke uska sukha daliya banaya jata hai aur dusre din usko chitiyo ke bil pe dal kar Aate hai taki chitiya usko Aasani se kha sake , us din machaliyo ko bhi yah daliya ka pest bnakar gol gol goliya bnakar talab me dala jata hai taki machliya usko Aasani kha sake
Uske bad ghar me sabhi log Nahadhokar ache kapde pahnte hai aur is din sabhi log Ache se rahte sabhi Aaps me khana peena sath me krte hai is din koi bhi kisi parkar ka Nasha nahi krta hai is din subh sabhi log surya ki pooja Aaradhna krte hai.
Is khushi me pure desh me kshshi ki lahar hoti hai aur desh ke bahut state me patang-bazi ka Aanand lete hai log Apni chhato par DJ Sound lga kar full Sound me Aawaj karke songs chlate hai charo taraf patang hi patang dikhai dete hai aur ghar me nai dhan ka pakwan bante hai Til aur gehu ka laddu bnate aur khane ka maza lete hai. Is din sabhi log apne gharo me hi rahte hai.
NOTCE
lekin is parv ka sabse jyada nuksaan Birds ko hota hai kyu ki jb log patang-bazi krte hai to unki patang ki Dor Birds ke paro me fas jati hai jis se unke par us Dor se cut jate hai aur is din Hazaro ki tadat me Birds mar jate hai. is wajah se desh me birds ki sankhya me bahut kami Aa rahi hai. isliye desh ke nagrik (person) se Aagrh krta hu ki Patang-bazi ka maze ke sath sath Birds ki jaan ki bhi parvah kre nahi to ek din esa Aayega ki Birds sirf photos me dekhne ko milenge aur Aapka nature bilkul kharab ho jayega.